Zainab Tere Hussain Ka Gham Noha Mp3 Downloadl [BEST]
GHAR GHAR MATAM, DAR DAR MATAM Tera hota rahe maula matam (2) Basti basti karya karya (2), Tera hota rahe maula matam Gar gar matam, dar dar matam, Tera hota rahe maula matam Tera matami ay mere maula, Duniya ke kisi kone me gayaa Musroof raha matam me tere (2) Deta he sukoon tera matam Jab dil ne kaha aayi Zehra, Mere ghar me bahaane ashke azaa Bas maine bichake farshe azaa (2) Kuch dair kiya barpa matam Kal haath bandhe the zainab ke, Majboor behen thi matam keMajlis hai teri ghar ghar barpa (2) Ab karti hai sab dunya matam Abbas ke shane kat tho gaye, Masum tere pyaase hi rahe Ghazi ke liye bacho ke liye (2) Ab karta hai ye darya matam Aashoor ko jab suraj nikla, Zehra ke bhare ghar ko dekha, Par chand ne zainab ko dekha (2) Karti hai bhare ghar ka matam Karbal se safar tha shaam ka jab, Lashe pe pukari ye zainab, Taa hashr teri mazloomi par (2) Karna hai mujhe bhaiya matam Jo karbobala se sham gayi, Wo binte Zahra binte Ali, Sab maaye behne milkar ab (2) Karti hai sadaa uska matam Bimar tha aur zanjeeri thi, Pairo ke tale jalti thi zamin, Sajjad ke gham me roro kar (2) Karta hai har ek rasta matam ***********************
Zainab Tere Hussain Ka Gham Noha Mp3 Downloadl
HUSSAIN ZINDABAAD (2) Khuda ye paak ka pyara hussain zindabad. Nabi ki ankhoon ka tara hussain zindabad. Dil-e-batool ka pyara hussain zindabad. Ali ka raaj dulara hussain zindabad Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke hamara (hussain zindabad-2)AMIR-E-SHEHR SHAHADAT HAI TERA NAAM HUSSAIN. Tuji pe behja hai islam ne salaam hussain. Hai tere hato me kounain ka nizaam hussain. Suna jo noke sina par (tera kalaam hussain-2) Pukaar-uta ye nazaara (hussain zin.. 2) KIYA HAI PANI TERE GHAWSALO NE PATHAR KO? Shikast di hai teri pyaas ne samandar ko. Fana ke kabr me dafna kiya sikandar ko. Ulat ke rakhdiya tune (har ek manzar ko-2) Hakikato ko ubharaa (hussain zin.. 2) KAYAAR SHAB PE UJALO NE HUKMARAANI KI. Jale diye to hawo ne paas pani ki. Mili zaif ko ugrayi ya jawaani ki. Zaban hogayi majbur (be zabaani ki-2) Ye tera faiz he saraa (hussain zin.. 2) PAYAAME HAQ HAI KHUDA KI KASAM PAYAME HUSSAIN. Har ek cheez hai kuonain ki gulam hussain. O mohtaram hai jo karta hai ehtaraam hussain Aghar yazid se lena hai (intikaam-e-hussain-2) Laghawo joom ke nara (hussain zin.. 2) JO GHAR LUTAATA HAI USKO HUSSAIN KEHTE HAI. Jo din bachaata hai usko hussain kehte hai. Jo hur banaata hai usko hussain kehte hai. Jo jeet jaata hai (usko hussain kehte hai-2) Shuja-atoonay tone pukaraa (hussain zin.. 2)BARAAYE JUNG YE LAYKAR JO ZULFIKAAR GAYA. Amir-e-shaam ko beta ali ka haar gaya. Kiya ye wakt ne aylaan ikhtidaar gaya. Hussain jit gaye or (yazid hargaya-2) Khuda ka din pukaraa (hussain zindabad-2) ALI KA LAAL SHAHE MASHRAKAYN ZINDAA HAY. Wo khalb-e-fatema zehra ka cheyn zinda hai. Shabaab fata-e-kadro hunain zindaa hai. Yazid margayaa mera (hussain zinda hai-2) Ye zindagi ka hai naraa (hussain zin.. 2) YE TERA DOST BHI TERA ADOO BHI KEHTA HAI. Chiraag andhiyo ke ru-baru bi kehta hai. Alam bi tegh bi chah dil gulu bi kehta hai. Nazar bi fikr bi dil bhi (lahu bhi kehta hai-2) Jo katl hoke na haraa (hussain zin.. 2) WAFA KA SAMT-TERA GOHAR SADA PASAND RAHE. Nishan-e-matame shabbir al jo band rahe. Alam hussain ke lashkar ka sar buland rahe. Yazid kabr ki gayrayiyo (me band rahe-2) Dil-e-hussain hamara (hussain zin.. 2) Lagaye jao ye nara (hussain zindabad-2) Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-2) Laghawo joom ke nara (hussain zindabad-2) Lagaye jaan ye nara (hussain zindabad-2)Kaho ye milke dobara (hussain zindabad-5) ***********************
Jab fauje kirdigar mei koyi nahi bacha Ruksath ko aaye khaime-mei shehen-shaey karbala Pohunche khaya-me zainab-o-kulsoom ke kareeb Awaaz di behan ko aur Shabbir ne kaha ZAINAB FEEAMANALLAH ZAINAB FEAMAANALLAH Ab aakhri fareeza-ye khaliq bhi ho ada Mai marne ja-raha hun tumhe kehke alwida Lashkar me koyi baki nahi hai mere siva Koyi sipahi fouje udo ka nahi raha Ab mera janasheen hai sajaad be-khata Rehna hai uske saath tumhe bade karbala Din bar to meine lasho pe lashe uthaey hai Na-jane kitne zakhm kalaije pe khaye hai Ab akhri salaam ko khaime-mei aaye hai Zakhmo ne dardo-ghamne mujhe kar diya nid-haal Mai katl hone wala hu iska nahi malal Reh-rehke beridayi ka ata hai ab khayal Rakhna khayal meri Sakina ka ay behan Soyegi kaise khak ke bistar pe pur mahan Royegji jab-bhi yaad use ayega watanYe kehke al faraaq chale shahe behro bar Nikle kaman zulm se O teer aur tabar Ki khamaey haram ki taraf akhri nazar Ghoday se khak pa-giray sultane karbala Tathir ro rahi thi tadap ne lagi kisa Jalti zami pe sajda kiya aur yeh kaha MAZHAR ajeeb waqt tha Zehra ke laal par Manzar ye dekhti thi behan sar ko pit kar Ye keh ke suwe khuld kiya shah-ha ne safar ***********************
YA ZAINAB-E-KUBRA (Ya zainab-e-kubra) x6 Ay bibi baniye aza, pegham karbala tera, jisne suna yahi kahaTegh khutbo ki barsare darbaar, Jaise chalti ho haideri talwaar, Kat ke ghirte the zalimo ke jigar, Jang-e-khaiber kiya teri lalkaar Ay bibi baniye azaa, dine rasool bach gaya, Quran ki thi ye sadaa Yaad ata hai shaam ka manzar, Bibi sarpe tere na thi chadar, Har taraf patharo ki baarish thi, Teri poshaak thi lahu me tar Ay B-B baniye aza, sadma tha ye bohot bada, Roya sare shahehuda Tune bacho ki di hai qurbani, haye re tera zokh imaani, Pyaase bhayi ki yaad me tune, khun bahaya hai ank ka paani Ay bibi baniye azaa, ye zabt hosla tera, neze pe ser pukaarta Tere dar par ye istighasa hai, Jo bhi farshe aza pe rota hai, Us pe saya kare tera ghazi, wo jo mushkil kusha ka beta hai Ay bibi baniye aza, hum momino ki ye dua, ashke aza ka waastaa Kitne makrooz matami hai tere, karza tu ghaib se adaa karde, Bibi tu to sakhi ki beti hai, Tu to muflis ko baadshaah kar deAy B-B baniye aza, tu innama tu hal ataa, kehta hai sar jukaa huwa Qaid be jurm jo hai matamdaar, misle mazloom aabide bimaar, Unko azaadiyo ka tohfa de, aaj tu misle haidare karrar Ay B-B baniye aza, hum ko hai tera asra ghairo-se mangna hai kya Tere bhaayi ne jaise rahib ko, saat bete ataa kiye phirto, Tu bhi hamsheer us sakhi ki hai, dede awlaad chahiye jisko Ay bibi baniye azaa, awlaad aisi kar ataa, ho wo bhi matami tera Waasta us aseer bachi ka, rassiyo me bandha tha jiska gala, Wo jo pyaasi thi mar gayi pyasi, koyi bacha na ab rahe pyaasa Ay B-B baniye aza, hai har sabil par likha, kehta hai khun bhayi ka Ay BB baniye azaa, humse na haq ada huwa, karde muaf-ye-khata ***********************
YE MAI HU MAI, MERI TANHAYI. YE TAMAASHAYI. Lo ayi gyaara muharram hai. Kya khabar layi. Chali hai janibe zindan tumhari maa jayi. Sawaar ham ne kiya tha tumhe mere bhaayi. Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Utho Hussain bahan ko zara sawaar karo (2) Sawar humne kiya tha, tumhe dame rukhsath Lagaam thaamI thi maine, bahaa labe rikath Kahaa gayi wo muhabath, kahaa gayi chahath Amama apna mere sarpe, saaya baar karo (2) Watan se door hu kuch aur, door jaati hu, Utho utho mere bhaiya, tumhe jagaa thi hu, Koyi bhi aata nahi mai, jise bulaa thi hu,Qaraar do mere mujko na, bekaraar karo (2) Safar Madine se kaisa tha, ye safar kya hai, Na mehmilay hai-na haudaj, na koyi parda hai, Hai sar pay khaak ye karbobala ka sehra hai, Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Dare furath-pe, ay sown-e-waale jaag zaraa, Alam ke saaye me rukhsat, bahen ko kar bhaiya, Suna hai sakth katin hai, ye sham ka rasta, Behen ye raasta abbas se, naamdaar karo x2 Mein awoongi mere bhaiya, zaroor awoongi, Kafan udawungi markad, tera banawoongi, Jahaa bhi jawoongi farshe, azaa bichaawoongi, Mein khaid kaat ke lout awoo, intezzar karo x2 Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo (2) ***********************
FATHEMA ZEHRA (2) YA ZEHRA (4) Ay meri bibi (2) Tere dar pe isteghasa hai,Tera mamnoo meri shehzaadi ye jahan sara hai Tu hame hifz or amaan de-de, Apni chadar ka sa-ebaan dede, Teri kudrath me kya nahin bibi, Tu jise chahe do jahaan dede Ay meri bibi (2) Aansu-o ne duwa mangi hai, Teri tasbee hi padke dil ne tujhe pukaara hai Tera darbar O sakhi dar hai, Har farishta jahan-ka dagar hai, Tere makrooz asmaan waale Tera makrooz har sikandar hai Ay meri bibi (2) Tu sakhi hai tere bache bhi, Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai Farshe majlis pe aur musale pa, Har jawan keh raha hai ro-rokar Ham rahe na rahe magar bibi, Ta qayamat rahe game sarwar Ay meri bibi (2) Tere bacho ka gham mana-te hai, Apni awlaad se kahi badke gham ye pyara hai Karz makrooz ka adaa karde, Muflisoon ka naseeb wa karde, Jinki goudi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa karde Ay meri bibi (2) Bas tuhi muraad dethi hai, Teri chawkat dare ilahi ka isti-araa haiFarz momin se gham juda karde, Bas ghame karbala ata karde Be khataa kayd me hai jo momin, Moujize se unhe rihaa karde Ay meri bibi (2) Gham koyi hussainiyo ko na de, Jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai Un shahedo ka ye mukadar hai, Sayiban inka teri chadar hai Unke sino pe ay meri bibi daghe matam nishaane haider hai Ay meri bibi (2) khuld me shaheed jab jaye, Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai Majlise gham me ashk barsane, Aasake ya nahi khuda jaane, Kya bharosa hamari sanso ka, Ab kaha ham kaha aza khane Ay meri bibi (2) Ashke gham teri amaanath hai, Teri awlaad ke hi gham-ne hame sawaara hai Tujko umat ne yu sataya hai, Marghe mohsin pe bi rulaya hai Tujko baba ke baad ummat ne, Haye darbaar me bulaya hai Ay meri bibi (2) Kitne sadme utha hai tune, Jeete-ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai Ay meri bibi (2) tere darpe sar jukaate hai, Har hussaini ka tere tuk-do pe hi guzaara hai ***********************
ARBAEEN KARNA HAI SHAH-E-KARBALAYI KA Leke daagh seene par, shaah ki judaai ka Haq ada kare Zainab, kaise apne bhaayi ka Khaafila uthar aaya, sabr ki khudaayi ka Karbala ke maidaan par Fathima ki jaayi kaMauth ke bayaabaan may zindagi ka maatam hai Zulm ke andheron may roshni ka maatam hai Aansuon ke toofaan may tishnagi ka maatam hai Ek behan ke his-se may har kisi ka maatam hai Bhaayi kya sunaaun mai hum pe kya sitham guzreBaad-e-asr-e-aashura be-kafan thay sab laashe Shaam-e-gham ke jaatay hi mauth ke badhe saaye Chin gayi rida meri bhaayi jal gaye khaime Dur tak nigaahon may shaam ka andhera hai Karbala say kufa tak haadisoon ne ghayra hai Jabsay nowne-haalon ne, mu ko apne phera hai Maamta ki goudhi may, mauth ka basera hai Baad-e-karbala bhaayi, har qadam qayamat thi Be-rida rasan basta raah-e-shaam say guzri Bhaayi hum tamaasha thay raaste tamaashayi Har qadam dua yeh thi kaash mauth aajaaye Bhaayi qaid khaane ki teeragise ho aaye Aap ki amaanat ko zulmaton may kho aaye Khoon goshwaaron ka aansuon say dho aaye Yun Sakina bibi ko sab aseer ro aaye Qaid say reha ho kar jab Madina jaaungi Jaa ke maa ki turbat par marsiya sunaaungi Karbala ke maqtal may kya huwa bataaungi Bhaayi apnay baazu ke neel bhi dikhaaungi Bhaayi ab khudahafiz khabr say chali Zainab Bin tere guzaa-regi kaisay zindagi Zainab Uth gayi FAREED aakhir keh ke Ya Ali Zainab Ranj-o-gham ki dunya may phir say kho gayi Zainab ***********************